alag main sab se kahani bhi hai alag sab se
alag maiñ sab se kahānī bhī hai alag sab se
so mujh ko ḳhaak uḌānī bhī hai alag sab se
badan se ruuh nikal kar samā ga.ī tujh meñ
mirī ye naql-e-makānī bhī hai alag sab se
samundaroñ meñ nahīñ dasht kī taraf utrā
ye merī āñkhoñ kā paanī bhī hai alag sab se
milā hai dard-e-mohabbat bhī ik zamāne ke ba.ad
mujhe ḳhushī ye manānī bhī hai alag sab se
zarā sā ḳhvāb ko toḌā ḳharāsh Daal gayā
ki aañkh meñ vo nishānī bhī hai alag sab se
alag main sab se kahani bhi hai alag sab se
so mujh ko KHak uDani bhi hai alag sab se
badan se ruh nikal kar sama gai tujh mein
meri ye naql-e-makani bhi hai alag sab se
samundaron mein nahin dasht ki taraf utra
ye meri aankhon ka pani bhi hai alag sab se
mila hai dard-e-mohabbat bhi ek zamane ke baad
mujhe KHushi ye manani bhi hai alag sab se
zara sa KHwab ko toDa KHarash Dal gaya
ki aankh mein wo nishani bhi hai alag sab se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.