alag-thalag rahe kabhi kabhi sabhi ke ho gae
alag-thalag rahe kabhī kabhī sabhī ke ho ga.e
junūñ kā haath chhuT gayā to be-hisī ke ho ga.e
talab kī aañch kyā bujhī badan hī raakh ho gayā
havā ke haath kyā lage galī galī ke ho ga.e
bahut dinoñ basī rahī tirī mahak ḳhayāl meñ
bahut dinoñ talak tire ḳhayāl hī ke ho ga.e
charāġh-e-shām bujh gayā to dil ke daaġh jal uThe
phir aisī raushnī huī ki raushnī ke ho ga.e
suḳhan-varī ne hijr ko bhī shām-e-vasl kar diyā
tirī talab sivā huī to shā.irī ke ho ga.e
alag-thalag rahe kabhi kabhi sabhi ke ho gae
junun ka hath chhuT gaya to be-hisi ke ho gae
talab ki aanch kya bujhi badan hi rakh ho gaya
hawa ke hath kya lage gali gali ke ho gae
bahut dinon basi rahi teri mahak KHayal mein
bahut dinon talak tere KHayal hi ke ho gae
charagh-e-sham bujh gaya to dil ke dagh jal uThe
phir aisi raushni hui ki raushni ke ho gae
suKHan-wari ne hijr ko bhi sham-e-wasl kar diya
teri talab siwa hui to shairi ke ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.