alam-ba-dast kahin aaina-ba-kaf hun main
alam-ba-dast kahīñ ā.ina-ba-kaf huuñ maiñ
tire ḳhilāf har ik samt saf-ba-saf huuñ maiñ
mujhe talāsh na kar tū ki ik zamāna huā
kitāb-e-'ishq ke har baab se hazaf huuñ maiñ
hazār bhes badaltā rahūñ magar is paar
kisī chamaktī huī aañkh kā hadaf huuñ maiñ
badaltā rahtā huuñ har lamha apne ḳhadd-o-ḳhāl
kahīñ guhar kahīñ dariyā kahīñ sadaf huuñ maiñ
Datā huā huuñ abhī tak mahāz par 'shahzād'
agarche haare hue shaah kī taraf huuñ maiñ
alam-ba-dast kahin aaina-ba-kaf hun main
tere KHilaf har ek samt saf-ba-saf hun main
mujhe talash na kar tu ki ek zamana hua
kitab-e-'ishq ke har bab se hazaf hun main
hazar bhes badalta rahun magar is par
kisi chamakti hui aankh ka hadaf hun main
badalta rahta hun har lamha apne KHadd-o-KHal
kahin guhar kahin dariya kahin sadaf hun main
Data hua hun abhi tak mahaz par 'shahzad'
agarche haare hue shah ki taraf hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.