alam bhi haar gae yar be-dili dekho
alam bhī haar ga.e yaar be-dilī dekho
jiye baġhair hī ik umr kaaT dī dekho
guzar chukā hai zamāna kise guzārūñ maiñ
mujhe guzār rahī hai ye zindagī dekho
mire mizāj kī saḳhtī pe tanz karte ho
kabhī to dekhne vaalo mujhe sahī dekho
dil-o-dimāġh pe qābiz hai vaqt kā sahrā
sarāb ḳhvāb meñ dikhte haiñ tishnagī dekho
shab-e-firāq hai maiñ huuñ suḳhan kī mahfil hai
jo mujh ko dekhnā chāho to bas abhī dekho
yahī to ek hunar hai jo maiñ ne sīkhā hai
dikhānā chāhūñ maiñ tum ko jo tum vahī dekho
na.e charāġh hī jal-jal ke raushnī deñge
'bahar' ko dekhne vaalo ḳhayāl bhī dekho
ma.ānī zabt ke āñgan se rabt karte haiñ
phaloñ ke bojh se ik shāḳh jhuk ga.ī dekho
baḌī bahan kī purānī frock iid ke din
kisī ġharīb kī beTī kī bebasī dekho
hazār raat kā jaagā thā so gayā 'shāriq'
'qamar' kī aaj bujhī sī hai raushnī dekho
alam bhi haar gae yar be-dili dekho
jiye baghair hi ek umr kaT di dekho
guzar chuka hai zamana kise guzarun main
mujhe guzar rahi hai ye zindagi dekho
mere mizaj ki saKHti pe tanz karte ho
kabhi to dekhne walo mujhe sahi dekho
dil-o-dimagh pe qabiz hai waqt ka sahra
sarab KHwab mein dikhte hain tishnagi dekho
shab-e-firaq hai main hun suKHan ki mahfil hai
jo mujh ko dekhna chaho to bas abhi dekho
yahi to ek hunar hai jo main ne sikha hai
dikhana chahun main tum ko jo tum wahi dekho
nae charagh hi jal-jal ke raushni denge
'bahar' ko dekhne walo KHayal bhi dekho
maani zabt ke aangan se rabt karte hain
phalon ke bojh se ek shaKH jhuk gai dekho
baDi bahan ki purani frock id ke din
kisi gharib ki beTi ki bebasi dekho
hazar raat ka jaga tha so gaya 'shaariq'
'qamar' ki aaj bujhi si hai raushni dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.