alam dil se nikal jae to shayad nind aa jae
alam dil se nikal jaa.e to shāyad niiñd aa jaa.e
dil-e-nādāñ bahal jaa.e to shāyad niiñd aa jaa.e
paḌī hai kab se jaane zindagī bas ek hī karvaT
agar pahlū badal jaa.e to shāyad niiñd aa jaa.e
tumhārī diid kī chāhat meñ takte haiñ qamar shab-bhar
mirī fitrat badal jaa.e to shāyad niiñd aa jaa.e
machal uThtī hai shab kī bāñhoñ meñ aate hī har chāhat
agar hasrat sañbhal jaa.e to shāyad niiñd aa jaa.e
abhī to shab javāñ hai aarzū bhī hai javāñ ab tak
zarā sī raat Dhal jaa.e to shāyad niiñd aa jaa.e
huī muddat mujhe to chain se so.e hue yaaro
badan se jaañ nikal jaa.e to shāyad niiñd aa jaa.e
alam dil se nikal jae to shayad nind aa jae
dil-e-nadan bahal jae to shayad nind aa jae
paDi hai kab se jaane zindagi bas ek hi karwaT
agar pahlu badal jae to shayad nind aa jae
tumhaari did ki chahat mein takte hain qamar shab-bhar
meri fitrat badal jae to shayad nind aa jae
machal uThti hai shab ki banhon mein aate hi har chahat
agar hasrat sanbhal jae to shayad nind aa jae
abhi to shab jawan hai aarzu bhi hai jawan ab tak
zara si raat Dhal jae to shayad nind aa jae
hui muddat mujhe to chain se soe hue yaro
badan se jaan nikal jae to shayad nind aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.