alam hai soz hai yaaden hain gham hai wahshat hai
alam hai soz hai yaaden hain gham hai wahshat hai
Zafar Adil Quraishi
MORE BYZafar Adil Quraishi
alam hai soz hai yādeñ haiñ ġham hai vahshat hai
mire nasīb meñ jo kuchh bhī hai ġhanīmat hai
jis anjuman meñ uThe uTh ke qatl-e-ām kare
nigāh-e-nāz kā uThnā bhī ik qayāmat hai
ye aur baat ki hai husn-e-ġham se begāna
hayāt-e-ishq magar husn kī badaulat hai
zabāñ se apnī to dīvāna kuchh nahīñ kahtā
zamāna dekh ke sūrat ko mahv-e-hairat hai
daġhā fareb hasad jhuuT aur makkārī
jafā ke daur meñ insāñ kī ye hī fitrat hai
tamām umr na hogī ḳhirad-navāzoñ kī
mire junūñ kī zamāne meñ jitnī shohrat hai
vo sāmne ho nazar ke vo arz-e-hāl kare
bahut dinoñ se ye 'ādil' ke dil meñ hasrat hai
alam hai soz hai yaaden hain gham hai wahshat hai
mere nasib mein jo kuchh bhi hai ghanimat hai
jis anjuman mein uThe uTh ke qatl-e-am kare
nigah-e-naz ka uThna bhi ek qayamat hai
ye aur baat ki hai husn-e-gham se begana
hayat-e-ishq magar husn ki badaulat hai
zaban se apni to diwana kuchh nahin kahta
zamana dekh ke surat ko mahw-e-hairat hai
dagha fareb hasad jhuT aur makkari
jafa ke daur mein insan ki ye hi fitrat hai
tamam umr na hogi KHirad-nawazon ki
mere junun ki zamane mein jitni shohrat hai
wo samne ho nazar ke wo arz-e-haal kare
bahut dinon se ye 'adil' ke dil mein hasrat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.