alam ki dhup mein ahbab kaam aaya nahin karte
alam kī dhuup meñ ahbāb kaam aayā nahīñ karte
ye vo uḌte hue bādal haiñ jo saayā nahīñ karte
jigar shaq ho magar lab par fuġhāñ laayā nahīñ karte
sharāb-e-ġham jo piite haiñ vo lahrāyā nahīñ karte
sahegā kaun phūloñ ke sivā jaur-e-ḳhizāñ āḳhir
bahār-e-husn par kāñTe to itrāyā nahīñ karte
nahīñ mānūs lab jin se kuchh aisī bhī haiñ fariyādeñ
kuchh aañsū haiñ jo palkoñ par nazar aayā nahīñ karte
alam ki dhup mein ahbab kaam aaya nahin karte
ye wo uDte hue baadal hain jo saya nahin karte
jigar shaq ho magar lab par fughan laya nahin karte
sharab-e-gham jo pite hain wo lahraya nahin karte
sahega kaun phulon ke siwa jaur-e-KHizan aaKHir
bahaar-e-husn par kanTe to itraya nahin karte
nahin manus lab jin se kuchh aisi bhi hain fariyaaden
kuchh aansu hain jo palkon par nazar aaya nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.