alam ki had hai kahan be-kasi kahan tak hai
alam kī had hai kahāñ be-kasī kahāñ tak hai
hamāre ġham meñ tumhārī ḳhushī kahāñ tak hai
bajā ki phuul kī do roza zindagī hogī
kalī se koī ye pūchhe kalī kahāñ tak hai
farishte sajda-e-tāzīm par hue majbūr
mirā niyāz mirī bandagī kahāñ tak hai
nazar kā qasd hī kab thā tire jamāl kī diid
ye dekhnā thā faqat raushnī kahāñ tak hai
darindagī kā musalsal mahāz hai qaa.em
ye dekhne ke liye aadmī kahāñ tak hai
tumhāre naam se duniyā mujhe pukār uThī
tumhārī zaat se vābastagī kahāñ tak hai
niyāz-mandī ko ehsās dekhnā ye hai
mizāj-e-husn kī āshuftagī kahāñ tak hai
alam ki had hai kahan be-kasi kahan tak hai
hamare gham mein tumhaari KHushi kahan tak hai
baja ki phul ki do roza zindagi hogi
kali se koi ye puchhe kali kahan tak hai
farishte sajda-e-tazim par hue majbur
mera niyaz meri bandagi kahan tak hai
nazar ka qasd hi kab tha tere jamal ki did
ye dekhna tha faqat raushni kahan tak hai
darindagi ka musalsal mahaz hai qaem
ye dekhne ke liye aadmi kahan tak hai
tumhaare nam se duniya mujhe pukar uThi
tumhaari zat se wabastagi kahan tak hai
niyaz-mandi ko ehsas dekhna ye hai
mizaj-e-husn ki aashuftagi kahan tak hai
- Book : پندار غزل (Pg. 93)
- Author : احساس مرادآبادی
- Publication : عبدالحسن
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.