alam marifat ka uData chala hun
'alam mā'rifat kā uḌātā chalā huuñ
rumūz-e-haqīqat bujhātā chalā huuñ
tire iltizām-e-mohabbat kī ḳhātir
maiñ hastī ko apnī miTātā chalā huuñ
kabhī āzmā.ish ne gherā hai mujh ko
kabhī us ko maiñ āzmātā chalā huuñ
hasīñ jalva-e-ruḳh kī tābāniyoñ se
ruḳh-e-rūh ko jagmagātā chalā huuñ
masā.ib se 'in'ām' be-ḳhauf ho kar
har ik gaam par muskurātā chalā huuñ
'alam ma'rifat ka uData chala hun
rumuz-e-haqiqat bujhata chala hun
tere iltizam-e-mohabbat ki KHatir
main hasti ko apni miTata chala hun
kabhi aazmaish ne ghera hai mujh ko
kabhi us ko main aazmata chala hun
hasin jalwa-e-ruKH ki tabaniyon se
ruKH-e-ruh ko jagmagata chala hun
masaib se 'in'am' be-KHauf ho kar
har ek gam par muskuraata chala hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.