alam mein shad ho kar dekhte hain
alam meñ shaad ho kar dekhte haiñ
zarā āzād ho kar dekhte haiñ
hasad hai un ko ḳhush-hālī se merī
chalo barbād ho kar dekhte haiñ
jahāñ pe jaan ko ḳhatra bahut hai
vahīñ ābād ho kar dekhte haiñ
zarūrī hai nahīñ mil jaa.e shīrīñ
magar farhād ho kar dekhte haiñ
agarche ḳhuun meñ un ke sitam hai
hamīñ faulād ho kar dekhte haiñ
alam mein shad ho kar dekhte hain
zara aazad ho kar dekhte hain
hasad hai un ko KHush-haali se meri
chalo barbaad ho kar dekhte hain
jahan pe jaan ko KHatra bahut hai
wahin aabaad ho kar dekhte hain
zaruri hai nahin mil jae shirin
magar farhad ho kar dekhte hain
agarche KHun mein un ke sitam hai
hamin faulad ho kar dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.