alam zindagi mein kama kar to dekho
alam zindagī meñ kamā kar to dekho
nazar āñsūon se sajā kar to dekho
khaḌe hoñge shāna-ba-shāna tumhāre
hameñ tum kabhī aazmā kar to dekho
tumhārī galī meñ lagī raunaqeñ haiñ
sar-e-bām ik baar aa kar to dekho
tumheñ bhī javāban mohabbat milegī
mohabbat se dil meñ samā kar to dekho
maiñ ā.īna huuñ sach kahūñgā hamesha
mujhe merī rah se haTā kar to dekho
mujhe raushnī kā sahārā bahut hai
mujhe zulmato tum miTā kar to dekho
pahan lī hai 'ādil' ne dastār-e-ulfat
zarā haath us ko lagā kar to dekho
alam zindagi mein kama kar to dekho
nazar aansuon se saja kar to dekho
khaDe honge shana-ba-shana tumhaare
hamein tum kabhi aazma kar to dekho
tumhaari gali mein lagi raunaqen hain
sar-e-baam ek bar aa kar to dekho
tumhein bhi jawaban mohabbat milegi
mohabbat se dil mein sama kar to dekho
main aaina hun sach kahunga hamesha
mujhe meri rah se haTa kar to dekho
mujhe raushni ka sahaara bahut hai
mujhe zulmato tum miTa kar to dekho
pahan li hai 'adil' ne dastar-e-ulfat
zara hath us ko laga kar to dekho
- Book : Inpage File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.