alamiya aisa bhi ho jata hai manzil ke qarib
alamiya aisā bhī ho jaatā hai manzil ke qarīb
Duub jaatā hai safīna aa ke sāhil ke qarīb
ham hī suljhā.eñge āḳhir mushkiloñ kī gutthiyāñ
haañ hameñ le jā.iye mushkil se mushkil ke qarīb
har ghaḌī har lamha har pal sochtā rahtā huuñ maiñ
dil hai ġham ke paas yā ġham hai mire dil ke qarīb
maut ne bhī rashk se dekhā thā mere azm ko
kitnī bebākī se maiñ baiThā thā qātil ke qarīb
ābla-pā.ī se 'nayyar' maiñ hirāsāñ to nahīñ
rafta rafta aa hī jā.ūñgā maiñ manzil ke qarīb
alamiya aisa bhi ho jata hai manzil ke qarib
Dub jata hai safina aa ke sahil ke qarib
hum hi suljhaenge aaKHir mushkilon ki gutthiyan
han hamein le jaiye mushkil se mushkil ke qarib
har ghaDi har lamha har pal sochta rahta hun main
dil hai gham ke pas ya gham hai mere dil ke qarib
maut ne bhi rashk se dekha tha mere azm ko
kitni bebaki se main baiTha tha qatil ke qarib
aabla-pai se 'nayyar' main hirasan to nahin
rafta rafta aa hi jaunga main manzil ke qarib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.