allah allah KHun-e-ghariban
allāh allāh ḳhūn-e-ġharībāñ
har taraf ho rahā hai charāġhāñ
hashr-bar-dosh mahshar-ba-dāmāñ
aane vaalā hai phir koī tūfāñ
vaqt har zaḳhm-e-dil kī davā hai
kaun le ahl-e-duniyā kā ehsāñ
zindagī kī haqīqat hī kyā hai
zindagī ek ḳhvāb-e-pareshāñ
kaun hai jo kare pursish-e-ġham
vo gurezāñ to duniyā gurezāñ
ik tabassum bhī bas meñ nahīñ hai
kitnā majbūr hai aaj insāñ
kyā bujhegī ḳhizāñ ke lahū se
tez hai tishnagī-e-bahārāñ
chain dil ko kahīñ bhī nahīñ hai
ek hai āshiyāñ ho ki zindāñ
log rāhoñ meñ dam toḌte haiñ
maut pahle na thī itnī arzāñ
kuchh na bigḌegā urdu zabāñ kā
kyoñ 'ḳhalish' ho rahe ho harāsāñ
allah allah KHun-e-ghariban
har taraf ho raha hai charaghan
hashr-bar-dosh mahshar-ba-daman
aane wala hai phir koi tufan
waqt har zaKHm-e-dil ki dawa hai
kaun le ahl-e-duniya ka ehsan
zindagi ki haqiqat hi kya hai
zindagi ek KHwab-e-pareshan
kaun hai jo kare pursish-e-gham
wo gurezan to duniya gurezan
ek tabassum bhi bas mein nahin hai
kitna majbur hai aaj insan
kya bujhegi KHizan ke lahu se
tez hai tishnagi-e-bahaaran
chain dil ko kahin bhi nahin hai
ek hai aashiyan ho ki zindan
log rahon mein dam toDte hain
maut pahle na thi itni arzan
kuchh na bigDega urdu zaban ka
kyon 'KHalish' ho rahe ho harasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.