Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

allah allah ye kya anjuman-arai hai

Saqib Kanpuri

allah allah ye kya anjuman-arai hai

Saqib Kanpuri

MORE BYSaqib Kanpuri

    allāh allāh ye kyā anjuman-ārā.ī hai

    ḳhud tamāshā hai vahī aap tamāshā.ī hai

    dard ko jis ke taraste haiñ malak aur falak

    shīsha-e-dil meñ mire vo mai-e-mīnā.ī hai

    aah us tā.ir-e-majbūr hasrat ko na pūchh

    jo ye suntā ho qafas meñ ki bahār aa.ī hai

    jis ke jalve farishtoñ ne kiyā thā sajda

    koh-e-fārāñ pe vahī sho.ala-e-sīnā.ī hai

    tum jo aa jaao to is ishq parda rah jaa.e

    varna ab zabt hai baaqī na shakebā.ī hai

    maiñ use ḳhuub samajhtā huuñ jo hālat hai mirī

    haañ magar dil ko vahī dars-e-shakebā.ī hai

    ho jahāñ murġh-e-taḳhayyul na parvāz-e-rasā

    us bulandī pe mirī nāsiya-farsā.ī hai

    hai ye 'sāqib' usī ik jalva-e-rañgīñ asar

    mire shīsha meñ jo kuchh bāda-e-mīnā.ī hai

    allah allah ye kya anjuman-arai hai

    KHud tamasha hai wahi aap tamashai hai

    dard ko jis ke taraste hain malak aur falak

    shisha-e-dil mein mere wo mai-e-minai hai

    aah us tair-e-majbur ki hasrat ko na puchh

    jo ye sunta ho qafas mein ki bahaar aai hai

    jis ke jalwe ka farishton ne kiya tha sajda

    koh-e-faran pe wahi shoala-e-sinai hai

    tum jo aa jao to is ishq ka parda rah jae

    warna ab zabt hai baqi na shakebai hai

    main use KHub samajhta hun jo haalat hai meri

    han magar dil ko wahi dars-e-shakebai hai

    ho jahan murgh-e-taKHayyul ki na parwaz-e-rasa

    us bulandi pe meri nasiya-farsai hai

    hai ye 'saqib' usi ek jalwa-e-rangin ka asar

    mere shisha mein jo kuchh baada-e-minai hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now