allah re ye garmi-e-bazar-e-mohabbat
allāh re ye garmī-e-bāzār-e-mohabbat
ḳhud husn-e-azal bhī hai ḳharīdār-e-mohabbat
ye qalb kahāñ aur kahāñ bār-e-mohabbat
kyā aur na thā koī sazā-vār-e-mohabbat
dil yūñhī rahegā jo ziyā-bār-e-mohabbat
chhā jā.eñge kaunain pe anvār-e-mohabbat
duniyā se ġharaz us ko na kuchh diin se matlab
āzād-e-do-ālam hai giraftār-e-mohabbat
saaqī tirī in mast nigāhoñ kī qasam ab
apne se bhī begāna hai sarshār-e-mohabbat
jannat bhī pareshāñ hai jahannum bhī hai larzāñ
vo barq hai ye āh-e-sharar-bār-e-mohabbat
kuchh ashk ke qatre haiñ kuchh uljhī huī sāñseñ
mohtāj-e-karam ab nahīñ bīmār-e-mohabbat
ik ātish-e-ḳhāmosh hai kaliyoñ kā tabassum
sad-nār ba-āġhosh hai gulzār-e-mohabbat
vo vaqt bhī aa.egā kabhī daur-e-zamāna
ḳhud aarzū ho jā.egī jab bār-e-mohabbat
ik sho.ala-e-betāb hai har barq-e-tajallī
kyā husn ke parde meñ haiñ anvār-e-mohabbat
ye gardish-e-daurāñ hai nigāhoñ ke ishāre
vābasta-e-qismat nahīñ sarkār-e-mohabbat
be-tāb huī jaatī haiñ ḳhud husn kī nazreñ
kyā sehr hai ye chashm-e-nigūñ-sār-e-mohabbat
us chashm-e-pashemāñ kī haiñ dāman pe nigāheñ
bas bas are o dīda-e-ḳhūñ-bār-e-mohabbat
ye zardī-e-ruḳh dīda-e-tar nāla-e-paiham
kis muñh se kare ab koī inkār-e-mohabbat
ik aarzū kyā ḳhaak meñ duniyā ko milā deñ
dekhe haiñ kahāñ aap ne ḳhuddār-e-mohabbat
har añkh 'munīr' us ko jagah detī hai dil meñ
ḳhud husn kī nazreñ haiñ parastār-e-mohabbat
allah re ye garmi-e-bazar-e-mohabbat
KHud husn-e-azal bhi hai KHaridar-e-mohabbat
ye qalb kahan aur kahan bar-e-mohabbat
kya aur na tha koi saza-war-e-mohabbat
dil yunhi rahega jo ziya-bar-e-mohabbat
chha jaenge kaunain pe anwar-e-mohabbat
duniya se gharaz us ko na kuchh din se matlab
aazad-e-do-alam hai giraftar-e-mohabbat
saqi teri in mast nigahon ki qasam ab
apne se bhi begana hai sarshaar-e-mohabbat
jannat bhi pareshan hai jahannum bhi hai larzan
wo barq hai ye aah-e-sharar-bar-e-mohabbat
kuchh ashk ke qatre hain kuchh uljhi hui sansen
mohtaj-e-karam ab nahin bimar-e-mohabbat
ek aatish-e-KHamosh hai kaliyon ka tabassum
sad-nar ba-aghosh hai gulzar-e-mohabbat
wo waqt bhi aaega kabhi daur-e-zamana
KHud aarzu ho jaegi jab bar-e-mohabbat
ek shoala-e-betab hai har barq-e-tajalli
kya husn ke parde mein hain anwar-e-mohabbat
ye gardish-e-dauran hai nigahon ke ishaare
wabasta-e-qismat nahin sarkar-e-mohabbat
be-tab hui jati hain KHud husn ki nazren
kya sehr hai ye chashm-e-nigun-sar-e-mohabbat
us chashm-e-pasheman ki hain daman pe nigahen
bas bas are o dida-e-KHun-bar-e-mohabbat
ye zardi-e-ruKH dida-e-tar nala-e-paiham
kis munh se kare ab koi inkar-e-mohabbat
ek aarzu kya KHak mein duniya ko mila den
dekhe hain kahan aap ne KHuddar-e-mohabbat
har ankh 'munir' us ko jagah deti hai dil mein
KHud husn ki nazren hain parastar-e-mohabbat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.