allah re ye rang ye jalwa shabab ka
allāh re ye rang ye jalva shabāb kā
jaise khiñchā ho aañkh meñ naqsha sharāb kā
parde meñ kā.enāt ke maujūd har jagah
is par ye ehtimām ye aalam hijāb kā
lalchā ke fart-e-shauq meñ aañsū nikal paḌe
vaa.iz ne hañs ke naam liyā jab sharāb kā
tāb-e-nazāra-e-ruḳh-e-anvar nahīñ use
sūraj kī samt ruḳh hai gul-e-āftāb kā
baḌhtī rahī nigāh bahakte rahe qadam
guzrā hai is tarah bhī zamāna shabāb kā
har ashk vāqi.āt-e-hasīñ kī hai yādgār
aalam na pūchhiye mirī chashm-e-pur-āb kā
ai 'aish' jab se bāda-e-lā-taqnatū milā
baaqī rahā na Dar hameñ roz-e-hisāb kā
allah re ye rang ye jalwa shabab ka
jaise khincha ho aankh mein naqsha sharab ka
parde mein kaenat ke maujud har jagah
is par ye ehtimam ye aalam hijab ka
lalcha ke fart-e-shauq mein aansu nikal paDe
waiz ne hans ke nam liya jab sharab ka
tab-e-nazara-e-ruKH-e-anwar nahin use
suraj ki samt ruKH hai gul-e-aftab ka
baDhti rahi nigah bahakte rahe qadam
guzra hai is tarah bhi zamana shabab ka
har ashk waqiat-e-hasin ki hai yaadgar
aalam na puchhiye meri chashm-e-pur-ab ka
ai 'aish' jab se baada-e-la-taqnatu mila
baqi raha na Dar hamein roz-e-hisab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.