alwidaa is tarah kaha maine
alvidā.a is tarah kahā maiñ ne
ḳhud se ḳhud ko judā kiyā maiñ ne
mānñā dil kā faisla hai ab
kar liyā hai ye faisla maiñ ne
mushkiloñ se jise qarīb kiyā
ujlatoñ meñ gañvā diyā maiñ ne
itne nazdīk se use dekhā
darmiyāñ rakh ke fāsla maiñ ne
ek chup kaam kar ga.ī 'jāzib'
jaise sab kuchh hī kah diyā maiñ ne
alwidaa is tarah kaha main ne
KHud se KHud ko juda kiya main ne
manna dil ka faisla hai ab
kar liya hai ye faisla main ne
mushkilon se jise qarib kiya
ujlaton mein ganwa diya main ne
itne nazdik se use dekha
darmiyan rakh ke fasla main ne
ek chup kaam kar gai 'jazib'
jaise sab kuchh hi kah diya main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.