Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

amanat saunp kar buniyaad bhi hashr-afrin rakh di

Siraj Lakhnavi

amanat saunp kar buniyaad bhi hashr-afrin rakh di

Siraj Lakhnavi

MORE BYSiraj Lakhnavi

    amānat sauñp kar buniyād bhī hashr-āfrīñ rakh

    jahāñ se ek muTThī ḳhaak uThā.ī thī vahīñ rakh

    na aayā aah aañsū poñchhnā bhī ġham ke māroñ ko

    nichoḌī bhī nahīñ āñkhoñ pe yūñhī āstīñ rakh

    dhueñ chādareñ kaisī vo sho'le ab kahāñ hamdam

    ridā-e-sabr meñ tah kar ke āh-e-ātishīñ rakh

    namāz-e-ahl-e-ulfat be-niyāz-e-dair-o-ka.aba hai

    gavāhī jahāñ dil ne vahīñ ham ne jabīñ rakh

    jahannam gul huā ye kin gunahgāroñ ke aañsū the

    har angāre par ik buniyād-e-firdaus-e-barīñ rakh

    hañsī aa.ī hai kyā kyā mere zauq-e-ābdīda ko

    na dāman se thame aañsū to us ne āstīñ rakh deñ

    'sirāj' un nazar meñ aaj thī to kuchh harārat

    chhupā ke dil meñ shāyad koī chingārī kahīñ rakh

    amanat saunp kar buniyaad bhi hashr-afrin rakh di

    jahan se ek muTThi KHak uThai thi wahin rakh di

    na aaya aah aansu ponchhna bhi gham ke maron ko

    nichoDi bhi nahin aankhon pe yunhi aastin rakh di

    dhuen ki chadaren kaisi wo sho'le ab kahan hamdam

    rida-e-sabr mein tah kar ke aah-e-atishin rakh di

    namaz-e-ahl-e-ulfat be-niyaz-e-dair-o-kaba hai

    gawahi di jahan dil ne wahin hum ne jabin rakh di

    jahannam gul hua ye kin gunahgaron ke aansu the

    har angare par ek buniyaad-e-firdaus-e-barin rakh di

    hansi aai hai kya kya mere zauq-e-abdida ko

    na daman se thame aansu to us ne aastin rakh den

    'siraj' un ki nazar mein aaj thi to kuchh hararat si

    chhupa ke dil mein shayad koi chingari kahin rakh di

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now