amin-e-ghairat-e-ulfat jo zindagi hogi
amīn-e-ġhairat-e-ulfat jo zindagī hogī
vo be-ḳhudī meñ bhī shā.ista-e-ḳhudī hogī
jo maslahat pe zarūrat ko Tāltī hogī
vo zindagī nahīñ tauhīn-e-zindagī hogī
nigāh kar le ḳhud apne zamīr par duniyā
hamārā zarf to duniyā bhī jāntī hogī
mahall-e-sajda jahāñ hogā sar jhukegā vahīñ
asīr-e-qaid-e-ta.ayyun na bandagī hogī
is e'timād pe har ġham meñ muskurātā huuñ
huī hai shaam to 'muḳhtār' sub.h bhī hogī
amin-e-ghairat-e-ulfat jo zindagi hogi
wo be-KHudi mein bhi shaista-e-KHudi hogi
jo maslahat pe zarurat ko Talti hogi
wo zindagi nahin tauhin-e-zindagi hogi
nigah kar le KHud apne zamir par duniya
hamara zarf to duniya bhi jaanti hogi
mahall-e-sajda jahan hoga sar jhukega wahin
asir-e-qaid-e-tayyun na bandagi hogi
is e'timad pe har gham mein muskuraata hun
hui hai sham to 'muKHtar' subh bhi hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.