amir-e-shahr se mil kar sazaen milti hain
amīr-e-shahr se mil kar sazā.eñ miltī haiñ
is haspatāl meñ naqlī davā.eñ miltī haiñ
ham ek pārTī mil kar chalo banāte haiñ
ki terī merī bahut sī ḳhatā.eñ miltī haiñ
purānī dillī meñ dil kā lagānā Thiik nahīñ
na dhuup aur na taaza havā.eñ miltī haiñ
ab un kā nām-o-nasab dūsre batāte haiñ
uruuj milte hī kyā kyā adā.eñ miltī haiñ
kisī ġharīb kī imdād kar ke dekh kabhī
zarā se kaam kī kitnī duā.eñ miltī haiñ
amir-e-shahr se mil kar sazaen milti hain
is haspatal mein naqli dawaen milti hain
hum ek parTi mil kar chalo banate hain
ki teri meri bahut si KHataen milti hain
purani dilli mein dil ka lagana Thik nahin
na dhup aur na taza hawaen milti hain
ab un ka nam-o-nasab dusre batate hain
uruj milte hi kya kya adaen milti hain
kisi gharib ki imdad kar ke dekh kabhi
zara se kaam ki kitni duaen milti hain
- Book : Barso.n Baad (Pg. 18)
- Author : Haseeb soz
- Publication : Lamhe lamhe Publications, Imam bara Alapur,Badaun (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.