amir-e-shahr tujhe kab dhiyan mera hai
amīr-e-shahr tujhe kab dhiyān merā hai
na.ī saḌak pe purānā makān merā hai
zamīñ ke chāñd-numāoñ kī haisiyat kyā hai
ki chāñd hai jo sar-e-āsmān merā hai
ab intizār hai kis kā uchhāliye sikka
yaqīn aap kā hai aur gumān merā hai
tirī kitāb-e-badan kā maiñ pahlā qaarī huuñ
jahāñ jahāñ bhī lagā hai nishān merā hai
maiñ apne naam se pahchānā jaatā huuñ 'hāshim'
koī qabīla hai na ḳhāndān merā hai
amir-e-shahr tujhe kab dhiyan mera hai
nai saDak pe purana makan mera hai
zamin ke chand-numaon ki haisiyat kya hai
ki chand hai jo sar-e-asman mera hai
ab intizar hai kis ka uchhaaliye sikka
yaqin aap ka hai aur guman mera hai
teri kitab-e-badan ka main pahla qari hun
jahan jahan bhi laga hai nishan mera hai
main apne nam se pahchana jata hun 'hashim'
koi qabila hai na KHandan mera hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.