amir se hai talluq na ye gharib se hai
amiir se hai ta.alluq na ye ġharīb se hai
sukūn-e-qalb mayassar magar nasīb se hai
hamāre saath yahī rābta ḳhulūs se thā
hamāre dost kā jo āj-kal raqīb se hai
ye umr bhar ke raqīboñ se bad-zanī merī
mushāhide kī binā par hai jo qarīb se hai
ye zindagī to ho mālūm alf-lailā kā
ik iqtibās kisī qissa-e-ajīb se hai
sitam zamāne kā fil-vaqt zer-e-bahs nahīñ
hamārā rū-e-suḳhan 'shaukat' ik habīb se hai
amir se hai talluq na ye gharib se hai
sukun-e-qalb mayassar magar nasib se hai
hamare sath yahi rabta KHulus se tha
hamare dost ka jo aaj-kal raqib se hai
ye umr bhar ke raqibon se bad-zani meri
mushahide ki bina par hai jo qarib se hai
ye zindagi to ho malum alf-laila ka
ek iqtibas kisi qissa-e-ajib se hai
sitam zamane ka fil-waqt zer-e-bahs nahin
hamara ru-e-suKHan 'shaukat' ek habib se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.