amiron tak rasai ho chuki bas
amīroñ tak rasā.ī ho chukī bas
mirī baḳht-āzmā.ī ho chukī bas
bahār ab ke bhī jo guzrī qafas meñ
to phir apnī rihā.ī ho chukī bas
kahāñ tak us se qissa qaziya har shab
bahut bāham laḌā.ī ho chukī bas
na aayā vo mire jaate jahāñ se
yahīñ tak āshnā.ī ho chukī bas
lagā hai hausla bhī karne tañgī
ġhamoñ kī ab samā.ī ho chukī bas
barābar ḳhaak ke to kar dikhāyā
falak bas be-adā.ī ho chukī bas
danī ke paas kuchh rahtī hai daulat
hamāre haath aa.ī ho chukī bas
dikhā us but ko phir bhī yā ḳhudāyā
tirī qudrat-numā.ī ho chukī bas
sharar kī sī hai chashmak fursat-e-umr
jahāñ de Tuk dikhā.ī ho chukī bas
gale meñ gervī kafnī hai ab 'mīr'
tumhārī mīrzā.ī ho chukī bas
amiron tak rasai ho chuki bas
meri baKHt-azmai ho chuki bas
bahaar ab ke bhi jo guzri qafas mein
to phir apni rihai ho chuki bas
kahan tak us se qissa qaziya har shab
bahut baham laDai ho chuki bas
na aaya wo mere jate jahan se
yahin tak aashnai ho chuki bas
laga hai hausla bhi karne tangi
ghamon ki ab samai ho chuki bas
barabar KHak ke to kar dikhaya
falak bas be-adai ho chuki bas
dani ke pas kuchh rahti hai daulat
hamare hath aai ho chuki bas
dikha us but ko phir bhi ya KHudaya
teri qudrat-numai ho chuki bas
sharar ki si hai chashmak fursat-e-umr
jahan de Tuk dikhai ho chuki bas
gale mein gerwi kafni hai ab 'mir'
tumhaari mirzai ho chuki bas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.