Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

amman se mile biwi ke zewar ki tarah hai

Pratap Somvanshi

amman se mile biwi ke zewar ki tarah hai

Pratap Somvanshi

MORE BYPratap Somvanshi

    ammāñ se mile biivī ke zevar tarah hai

    ḳhuddārī mire paas dharohar tarah hai

    is moḌ pe pahuñchā hai ka.ī saal gañvā kar

    vo shaḳhs bhī qistoñ meñ bane ghar tarah hai

    aa jā.egā āsānī se ab mujh ko sambhalnā

    aadat tirī mere liye Thokar tarah hai

    aatā hai vahī kaam musībat ke dinoñ meñ

    farzand mire ghar meñ bhī lofar tarah haiñ

    amman se mile biwi ke zewar ki tarah hai

    KHuddari mere pas dharohar ki tarah hai

    is moD pe pahuncha hai kai sal ganwa kar

    wo shaKHs bhi qiston mein bane ghar ki tarah hai

    aa jaega aasani se ab mujh ko sambhalna

    aadat teri mere liye Thokar ki tarah hai

    aata hai wahi kaam musibat ke dinon mein

    farzand mere ghar mein bhi lofar ki tarah hain

    Source :
    • Book : Itwar chhota pad gaya (Pg. 81)
    • Author : Pratap Somvanshi
    • Publication : Vani Prakashan (2016)
    • Edition : 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now