amn ki pothi juzdanon mein hathon mein hathiyar
amn kī pothī juzdānoñ meñ hāthoñ meñ hathiyār
gāñdhī ke is des meñ sastā ḳhuun hai mahñgā pyaar
puure chāñd se vyākul sajnī jaage saarī raat
is barkhā mat ja.īho sājan saat samundar paar
saañs kī bolī dil kī zabāñ aur āñkhoñ kī guftār
jo in ko na buujh sake vo kyā samjhegā pyaar
qad kī hamāre paimā.ish kyā badal ga.e mīzān
milne lage haiñ bāzāroñ meñ ohde aur dastār
buġhz adāvat dhoke-bāzī nafrat kā bāzār
log ajā.ib-ghar meñ rakh aa.e haiñ sachchā pyaar
lab ruḳhsār nigāheñ tevar hoñ jin ke hathiyār
un ko kab darkār hai ḳhanjar neze aur talvār
amn ki pothi juzdanon mein hathon mein hathiyar
gandhi ke is des mein sasta KHun hai mahnga pyar
pure chand se wyakul sajni jage sari raat
is barkha mat jaiho sajan sat samundar par
sans ki boli dil ki zaban aur aankhon ki guftar
jo in ko na bujh sake wo kya samjhega pyar
qad ki hamare paimaish kya badal gae mizan
milne lage hain bazaron mein ohde aur dastar
bughz adawat dhoke-bazi nafrat ka bazar
log ajaib-ghar mein rakh aae hain sachcha pyar
lab ruKHsar nigahen tewar hon jin ke hathiyar
un ko kab darkar hai KHanjar neze aur talwar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.