amn-o-aman pyar ki saughat chahiye
amn-o-amān pyaar kī sauġhāt chāhiye
ḳhvāboñ ko niiñd niiñd ko bhī raat chāhiye
vo daav āzmāne ko tayyār haiñ bahut
un ko ḳhabar nahīñ ki hameñ maat chāhiye
shikva agar na ho to kahāñ un se baat ho
taqrīb kuchh to bahr-e-mulāqāt chāhiye
āñkhoñ meñ ratjagā hai uThāne ko koī ḳhvāb
ta.abīr ko to ashkoñ kī barsāt chāhiye
ḳhūñ-rang hue shām-o-sahar be-ḳhabar rahe
muāfī nahīñ talāfī-e-māfāt chāhiye
patthar kā shahr hai to hai murda-dilī bhī aam
sāñsoñ ke zer-o-bam ko nabātāt chāhiye
dastār se ulajh ke girīñ ḳhvāhisheñ tamām
dil kī ḳhalish ko kunj-e-mukāfāt chāhiye
amn-o-aman pyar ki saughat chahiye
KHwabon ko nind nind ko bhi raat chahiye
wo daw aazmane ko tayyar hain bahut
un ko KHabar nahin ki hamein mat chahiye
shikwa agar na ho to kahan un se baat ho
taqrib kuchh to bahr-e-mulaqat chahiye
aankhon mein ratjaga hai uThane ko koi KHwab
tabir ko to ashkon ki barsat chahiye
KHun-rang hue sham-o-sahar be-KHabar rahe
muafi nahin talafi-e-mafat chahiye
patthar ka shahr hai to hai murda-dili bhi aam
sanson ke zer-o-bam ko nabaatat chahiye
dastar se ulajh ke girin KHwahishen tamam
dil ki KHalish ko kunj-e-mukafat chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.