amrad hue hain tere KHaridar chaar panch
amrad hue hain tere KHaridar chaar panch
Insha Allah Khan Insha
MORE BYInsha Allah Khan Insha
amrad hue haiñ tere ḳharīdār chaar pāñch
de aise aur haq mujhe aġhyār chaar pāñch
jab gudgudāte haiñ tujhe ham aur Dhab se tab
sahte haiñ gāliyāñ tirī nā-chār chaar pāñch
kal yuuñ kahā ki Tuk tū Thahar le to bole aap
haiñ muntazir mire sar-e-bāzār chaar pāñch
o jaane vaale shaḳhs Tuk ik muḌ ke dekh le
yaañ bhī taḌap rahe haiñ gunahgār chaar pāñch
sayyād le ḳhabar ki diyā chāhte haiñ jaan
kunj-e-qafas meñ taaza giraftār chaar pāñch
myaañ ham bhī koī qahr haiñ jab dekho tab liye
baiThe haiñ apne paas tarahdār chaar pāñch
chupke se tum jo kahte ho haiñ apne āshnā
sho'la bhabhūke aur dhuāñ-dhār chaar pāñch
har ek un se shoḳh hai kyā ḳhuub baat ho
lag jaa.eñ tere haath jo yak-bār chaar pāñch
tū un ko chaah chhoḌ mujhe vāchhaḌe che-ḳhush
rakkhe haiñ mere vāste dildār chaar pāñch
hai kaam ek hī se vo chūlhe meñ sab paḌeñ
sadqe kiye the aise vo finnār chaar pāñch
sāhib tumhīñ tumhīñ nahīñ hargiz nahīñ nahīñ
mujh ko nahīñ nahīñ nahīñ darkār chaar pāñch
'mīr' o 'qatīl' o 'mus.hafī' o 'jur.at' o 'makīñ'
haiñ shā'iroñ meñ ye jo numūdār chaar pāñch
so ḳhuub jānte haiñ ki har ek rang ke
'inshā' kī har ġhazal meñ haiñ ash'ār chaar pāñch
amrad hue hain tere KHaridar chaar panch
de aise aur haq mujhe aghyar chaar panch
jab gudgudate hain tujhe hum aur Dhab se tab
sahte hain galiyan teri na-chaar chaar panch
kal yun kaha ki Tuk tu Thahar le to bole aap
hain muntazir mere sar-e-bazar chaar panch
o jaane wale shaKHs Tuk ek muD ke dekh le
yan bhi taDap rahe hain gunahgar chaar panch
sayyaad le KHabar ki diya chahte hain jaan
kunj-e-qafas mein taza giraftar chaar panch
myan hum bhi koi qahr hain jab dekho tab liye
baiThe hain apne pas tarahdar chaar panch
chupke se tum jo kahte ho hain apne aashna
sho'la bhabhuke aur dhuan-dhaar chaar panch
har ek un se shoKH hai kya KHub baat ho
lag jaen tere hath jo yak-bar chaar panch
tu un ko chah chhoD mujhe wachhaDe che-KHush
rakkhe hain mere waste dildar chaar panch
hai kaam ek hi se wo chulhe mein sab paDen
sadqe kiye the aise wo finnar chaar panch
sahib tumhin tumhin nahin hargiz nahin nahin
mujh ko nahin nahin nahin darkar chaar panch
'mir' o 'qatil' o 'mushafi' o 'jurat' o 'makin'
hain sha'iron mein ye jo numudar chaar panch
so KHub jaante hain ki har ek rang ke
'insha' ki har ghazal mein hain ash'ar chaar panch
- Kulliyat-e-inshaallah khan insha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.