an-dekhe hawadis ka meri tak mein rahna
an-dekhe havādis kā mirī taak meñ rahnā
har lamha yahāñ sā’at-e-saffāk meñ rahnā
kab aa ke koī chhīn le dastār hamārī
ik khel nahīñ turra-e-pechāk meñ rahnā
ik lafz pe kaT saktī hai gardan bhī zabāñ bhī
har vaqt na yuuñ lahja-e-bebāk meñ rahnā
ho jaa.e agar zaat kā 'irfān mayassar
āsān hai phir lamha-e-idrāk meñ rahnā
an-dekhe hawadis ka meri tak mein rahna
har lamha yahan sa’at-e-saffak mein rahna
kab aa ke koi chhin le dastar hamari
ek khel nahin turra-e-pechaak mein rahna
ek lafz pe kaT sakti hai gardan bhi zaban bhi
har waqt na yun lahja-e-bebak mein rahna
ho jae agar zat ka 'irfan mayassar
aasan hai phir lamha-e-idrak mein rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.