an-dekhi aur bholi-bhaali duniya hai
an-dekhī aur bholī-bhālī duniyā hai
us khiḌkī ke paar anokhī duniyā hai
aap kā istehqāq thā raah badal lenā
sab kā apnā jīvan apnī duniyā hai
chāñd sitāre jugnū phuul kitābeñ ḳhvāb
ik laḌkī kī kitnī pyārī duniyā hai
dil kī baat batā kar mujrim ban baiThe
istiġhfār ḳhudāyā kaisī duniyā hai
ishq-nagar meñ koī pahlā piir nahīñ
ḳhair se apnī dekhī bhālī duniyā hai
an-dekhi aur bholi-bhaali duniya hai
us khiDki ke par anokhi duniya hai
aap ka istehqaq tha rah badal lena
sab ka apna jiwan apni duniya hai
chand sitare jugnu phul kitaben KHwab
ek laDki ki kitni pyari duniya hai
dil ki baat bata kar mujrim ban baiThe
istighfar KHudaya kaisi duniya hai
ishq-nagar mein koi pahla pir nahin
KHair se apni dekhi bhaali duniya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.