an-ginat hain yahan mehrban dekhiye
an-ginat haiñ yahāñ mehrbāñ dekhiye
kaun degā magar apnī jaañ dekhiye
kis tarah dariyā bantā hai qatra koī
jānñā hai to āb-e-ravāñ dekhiye
ḳhaak terā makāñ bhī to jal kar huā
nafratoñ kā uThā hai dhuāñ dekhiye
aap kī haisiyat sūkhe patte sī hai
Thokareñ khā rahe haiñ yahāñ dekhiye
us ke chehre pe hai fikr har dam 'ayāñ
ghar meñ beTī hai jis ke javāñ dekhiye
aaj nā-haq bahegā kisī kā lahū
dast-e-zālim meñ tīr-o-kamāñ dekhiye
shāyad aisī jagah koī tum ko mile
jhuk gayā ho jahāñ āsmāñ dekhiye
jo vatan kī tabāhī kā bā'is rahe
likh rahe haiñ vahī dāstāñ dekhiye
mil ga.ī jab bhī 'ātif' havā kī madad
aag pahuñchī kahāñ se kahāñ dekhiye
an-ginat hain yahan mehrban dekhiye
kaun dega magar apni jaan dekhiye
kis tarah dariya banta hai qatra koi
jaanna hai to aab-e-rawan dekhiye
KHak tera makan bhi to jal kar hua
nafraton ka uTha hai dhuan dekhiye
aap ki haisiyat sukhe patte si hai
Thokaren kha rahe hain yahan dekhiye
us ke chehre pe hai fikr har dam 'ayan
ghar mein beTi hai jis ke jawan dekhiye
aaj na-haq bahega kisi ka lahu
dast-e-zalim mein tir-o-kaman dekhiye
shayad aisi jagah koi tum ko mile
jhuk gaya ho jahan aasman dekhiye
jo watan ki tabahi ka ba'is rahe
likh rahe hain wahi dastan dekhiye
mil gai jab bhi 'atif' hawa ki madad
aag pahunchi kahan se kahan dekhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.