an-likhi ghazal ke istiare
an-likhī ġhazal ke isti.āre
vo log mohabbatoñ ke maare
milte haiñ ḳhudā se yā patā naiiñ
khiḌkī se uḌā diye ġhubāre
kamre kī masāfatoñ meñ koī
guzrā huā dasht kyoñ guzāre
raste se lagī huiiñ nigāheñ
gardish meñ thake hue sitāre
vo naam palaT ke dekhte haiñ
maiñ ne jo kabhī nahīñ pukāre
an-likhi ghazal ke istiare
wo log mohabbaton ke mare
milte hain KHuda se ya pata nain
khiDki se uDa diye ghubare
kamre ki masafaton mein koi
guzra hua dasht kyon guzare
raste se lagi huin nigahen
gardish mein thake hue sitare
wo nam palaT ke dekhte hain
main ne jo kabhi nahin pukare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.