ana-e-jazb-o-junun auj se kamal giri
anā-e-jazb-o-junūñ auj se kamāl girī
mujhe jo hosh milā paañv se dhamāl girī
yaqīn hone lagā har guzarte din ke saath
shikasta jism kī dīvār ab ke saal girī
maiñ us kī aañkh ke zer-o-zabar samajhtā huuñ
palak pe kyoñ vo palak lamha-e-savāl girī
ridā-e-sharm liye aañkh meñ maiñ aage baḌhā
havā meñ uḌ ke jab us ke badan se shaal girī
urūj-e-vaqt se aage kā koī lamha thā
'figār' bāñhoñ meñ jab vo parī-jamāl girī
ana-e-jazb-o-junun auj se kamal giri
mujhe jo hosh mila panw se dhamal giri
yaqin hone laga har guzarte din ke sath
shikasta jism ki diwar ab ke sal giri
main us ki aankh ke zer-o-zabar samajhta hun
palak pe kyon wo palak lamha-e-sawal giri
rida-e-sharm liye aankh mein main aage baDha
hawa mein uD ke jab us ke badan se shaal giri
uruj-e-waqt se aage ka koi lamha tha
'figar' banhon mein jab wo pari-jamal giri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.