ana jab san chaDhti hai to jazbe kaT deti hai
ana jab san chaDhti hai to jazbe kaT deti hai
Qazi Abdur Rauf Anjum
MORE BYQazi Abdur Rauf Anjum
anā jab saan chaḌhtī hai to jazbe kaaT detī hai
diloñ meñ jab utar jaatī hai rishte kaaT detī hai
jalā detī hai ulfat kī vafā kī saarī tāmīreñ
havas kī aag barsoñ ke taqāze kaaT detī hai
muqarrir dil-nashīñ lahja bhī apnā.e to kyā kahnā
zarā sī baat logoñ ke kaleje kaaT detī hai
adālat kī kasauTī par kasā jaatā hai jab mujrim
qalam kī ek jumbish saare hiile kaaT detī hai
hamārā hausla hī kāmyābī kī zamānat hai
nadī chaḌh jaa.e to donoñ kināre kaaT detī hai
mahārat bhī agar ho jaa.e shāmil jazb-e-sādiq meñ
to patlī Dor bhī mazbūt dhāge kaaT detī hai
nahīñ kam-mā.egī kuchh bā.is-e-tahqīr ai 'anjum'
kanī hiire kī chaltī hai to shīshe kaaT detī hai
ana jab san chaDhti hai to jazbe kaT deti hai
dilon mein jab utar jati hai rishte kaT deti hai
jala deti hai ulfat ki wafa ki sari tamiren
hawas ki aag barson ke taqaze kaT deti hai
muqarrir dil-nashin lahja bhi apnae to kya kahna
zara si baat logon ke kaleje kaT deti hai
adalat ki kasauTi par kasa jata hai jab mujrim
qalam ki ek jumbish sare hile kaT deti hai
hamara hausla hi kaamyabi ki zamanat hai
nadi chaDh jae to donon kinare kaT deti hai
mahaarat bhi agar ho jae shamil jazb-e-sadiq mein
to patli Dor bhi mazbut dhage kaT deti hai
nahin kam-maegi kuchh bais-e-tahqir ai 'anjum'
kani hire ki chalti hai to shishe kaT deti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.