ana ka nashsha KHudi ka KHumar TuTta hai
anā kā nashsha ḳhudī kā ḳhumār TūTtā hai
mohabbatoñ meñ ḳhud apnā hisār TūTtā hai
koī to hai jo dar-e-ḳhema-e-mohabbat par
jabīñ jhukā.e ba-sad iftiḳhār TūTtā hai
ajiib nashsha-e-ehsās kī giraft meñ huuñ
tire qarīb jo aa.uuñ ḳhumār TūTtā hai
maiñ us lahū meñ se huuñ jis kā ek ik qatra
fasīl-e-zulm pe dīvāna-vār TūTtā hai
ana ka nashsha KHudi ka KHumar TuTta hai
mohabbaton mein KHud apna hisar TuTta hai
koi to hai jo dar-e-KHema-e-mohabbat par
jabin jhukae ba-sad iftiKHar TuTta hai
ajib nashsha-e-ehsas ki giraft mein hun
tere qarib jo aaun KHumar TuTta hai
main us lahu mein se hun jis ka ek ek qatra
fasil-e-zulm pe diwana-war TuTta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.