ana ke dasht mein tanha bhaTak raha hai koi
ana ke dasht mein tanha bhaTak raha hai koi
Haleema Sadiya Shagufta
MORE BYHaleema Sadiya Shagufta
anā ke dasht meñ tanhā bhaTak rahā hai koī
salīb-e-shauq pe jaise laTak rahā hai koī
hamāre shahr kā hākim ajiib munsif hai
kiyā hai jurm kisī ne khaTak rahā hai koī
mizāj-e-ishq hai nāzuk bisāt-e-husn hai kam
vafā kī raah pe ab tak bhaTak rahā hai koī
baḌā ġhurūr hai aur kyoñ na ho bhalā ḳhud par
badan hai chāñd sā jaise chamak rahā hai koī
tumhāre dard kī dastak pahuñch ga.ī shāyad
'shagufta' is liye dāman jhaTak rahā hai koī
ana ke dasht mein tanha bhaTak raha hai koi
salib-e-shauq pe jaise laTak raha hai koi
hamare shahr ka hakim ajib munsif hai
kiya hai jurm kisi ne khaTak raha hai koi
mizaj-e-ishq hai nazuk bisat-e-husn hai kam
wafa ki rah pe ab tak bhaTak raha hai koi
baDa ghurur hai aur kyon na ho bhala KHud par
badan hai chand sa jaise chamak raha hai koi
tumhaare dard ki dastak pahunch gai shayad
'shagufta' is liye daman jhaTak raha hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.