ana ki oT mein aafaqiyat ka raaz hun main
anā kī oT meñ āfāqiyat kā raaz huuñ maiñ
tire vajūd kā muñh boltā javāz huuñ maiñ
sitam-zarīf tanāsuḳh bhī mere pīchhe hai
yahī nahīñ ki anāsir kī sāz-bāz huuñ maiñ
na merā nuur na saaya na merā ḳham na muhīt
nasheb-e-vaqt meñ Duubā huā farāz huuñ maiñ
mirī shikast kī āvāz bas yahī ya.anī
havā ke dosh pe larzāñ sukūt-e-sāz huuñ maiñ
maiñ silsila huuñ tamaddun kī dhuup chhāñv kā
ki hast-o-nīst ke mābain ik mahāz huuñ maiñ
thakī thakī sī sar-e-rāh intizār kī aañkh
vahī savāl kā uqda ki nīm-bāz huuñ maiñ
hayāt-e-ḳhema-e-mun.im hai jis ke dam ḳham se
usī charāġh kā be-sāḳhta gudāz huuñ maiñ
nigāh-e-sher hai 'rāhī' vo aa.ina jis meñ
nazar nazar hai to ik aks-e-imtiyāz huuñ maiñ
ana ki oT mein aafaqiyat ka raaz hun main
tere wajud ka munh bolta jawaz hun main
sitam-zarif tanasuKH bhi mere pichhe hai
yahi nahin ki anasir ki saz-baz hun main
na mera nur na saya na mera KHam na muhit
nasheb-e-waqt mein Duba hua faraaz hun main
meri shikast ki aawaz bas yahi yani
hawa ke dosh pe larzan sukut-e-saz hun main
main silsila hun tamaddun ki dhup chhanw ka
ki hast-o-nist ke mabain ek mahaz hun main
thaki thaki si sar-e-rah intizar ki aankh
wahi sawal ka uqda ki nim-baz hun main
hayat-e-KHema-e-munim hai jis ke dam KHam se
usi charagh ka be-saKHta gudaz hun main
nigah-e-sher hai 'rahi' wo aaina jis mein
nazar nazar hai to ek aks-e-imtiyaz hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.