ana ki qaid se aazad ho kar kyon nahin aata
anā kī qaid se āzād ho kar kyoñ nahīñ aatā
jo bāhar hai vo mere dil ke andar kyoñ nahīñ aatā
uḌaan us kī agar mere hī jaisī hai fazāoñ meñ
to qad us kā mire qad ke barābar kyoñ nahīñ aatā
maiñ pahle shīsha-e-dil ko kisī khiḌkī meñ rakh aa.uuñ
phir us ke baad sochūñgā ki patthar kyoñ nahīñ aatā
chhupā letī hai duniyā kis tarah ye zahr barsoñ tak
dhuāñ jo dil ke andar hai vo bāhar kyoñ nahīñ aatā
koī taqsīm kā māhir agar mil jaa.e to pūchhūñ
ki har qatre ke hisse meñ samundar kyoñ nahīñ aatā
hazāroñ āshnā hote haiñ lekin aaḌe vaqtoñ meñ
zarūrat jis kī hotī hai mayassar kyoñ nahīñ aatā
'kañval' fankār ke baare meñ ye bhī ik muamma hai
jo ab tak aa chukā hai us se behtar kyoñ nahīñ aatā
ana ki qaid se aazad ho kar kyon nahin aata
jo bahar hai wo mere dil ke andar kyon nahin aata
uDan us ki agar mere hi jaisi hai fazaon mein
to qad us ka mere qad ke barabar kyon nahin aata
main pahle shisha-e-dil ko kisi khiDki mein rakh aaun
phir us ke baad sochunga ki patthar kyon nahin aata
chhupa leti hai duniya kis tarah ye zahr barson tak
dhuan jo dil ke andar hai wo bahar kyon nahin aata
koi taqsim ka mahir agar mil jae to puchhun
ki har qatre ke hisse mein samundar kyon nahin aata
hazaron aashna hote hain lekin aaDe waqton mein
zarurat jis ki hoti hai mayassar kyon nahin aata
'kanwal' fankar ke bare mein ye bhi ek muamma hai
jo ab tak aa chuka hai us se behtar kyon nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.