ana ko apne hi hathon se qatl kar jata
anā ko apne hī hāthoñ se qatl kar jaatā
agar maiñ TuuT na jaatā bikhar bikhar jaatā
mirī talāsh meñ niklī thī āftāb kī fauj
jo maiñ guphā se nikaltā to aaj mar jaatā
maiñ jaan kar nazar-andāz kar gayā varna
tirā libās sar-e-anjuman utar jaatā
kahīñ se koī kiran hī na aa sakī varna
ye tīrgī kā khañDar raushnī se bhar jaatā
zamīn hī mirā rasta zamīn hī manzil
zamīn chhoḌ ke jaatā to maiñ kidhar jaatā
vahāñ to ḳhud hī chaTaḳhne lagī haiñ dīvāreñ
agar vo aa.ina bante to maiñ sañvar jaatā
kuchh itne zor kā aayā thā zalzala kal raat
agar maiñ jaag na jaatā to ḳhvāb mar jaatā
kisī kā qarz hai mujh par ye jāntā huuñ magar
koī gavāh na hotā to maiñ mukar jaatā
ana ko apne hi hathon se qatl kar jata
agar main TuT na jata bikhar bikhar jata
meri talash mein nikli thi aaftab ki fauj
jo main gupha se nikalta to aaj mar jata
main jaan kar nazar-andaz kar gaya warna
tera libas sar-e-anjuman utar jata
kahin se koi kiran hi na aa saki warna
ye tirgi ka khanDar raushni se bhar jata
zamin hi mera rasta zamin hi manzil
zamin chhoD ke jata to main kidhar jata
wahan to KHud hi chaTaKHne lagi hain diwaren
agar wo aaina bante to main sanwar jata
kuchh itne zor ka aaya tha zalzala kal raat
agar main jag na jata to KHwab mar jata
kisi ka qarz hai mujh par ye jaanta hun magar
koi gawah na hota to main mukar jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.