ana-parast to hum hain ghurur kis ka hai
anā-parast to ham haiñ ġhurūr kis kā hai
mubārazat ke amal meñ qusūr kis kā hai
tumhārī aañkh meñ to āftāb khulte haiñ
magar hamāre charāġhoñ meñ nuur kis kā hai
ye kaun mujh meñ mujhe DhūñDhtā hai har lamha
mire vajūd pe qaa.em shu.ūr kis kā hai
mujhe batāo ki chāragarī karūñ kis kī
mirī thakan se badan chuur chuur kis kā hai
kisī ko bhī nahīñ ma.alūm raaz hastī kā
kitāb-e-zīst pe 'ash.ar' ubuur kis kā hai
ana-parast to hum hain ghurur kis ka hai
mubarazat ke amal mein qusur kis ka hai
tumhaari aankh mein to aaftab khulte hain
magar hamare charaghon mein nur kis ka hai
ye kaun mujh mein mujhe DhunDhta hai har lamha
mere wajud pe qaem shuur kis ka hai
mujhe batao ki chaaragari karun kis ki
meri thakan se badan chur chur kis ka hai
kisi ko bhi nahin malum raaz hasti ka
kitab-e-zist pe 'ashar' ubur kis ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.