ana rahi na meri mutlaq-ul-inani ki
anā rahī na mirī mutlaq-ul-inānī kī
mire vajūd pe ik dil ne hukmarānī kī
karam kiyā ki bikharne diyā na us ne mujhe
mire junūñ kī hifāzat kī mehrbānī kī
pahāḌ kāTnā ik mashġhala thā bachpan se
kaḌe dinoñ meñ bhī teshe sī naujavānī kī
badan ki uḌne ko par taultā parinda sā
kisī kamān sī chaḌhtī nadī javānī kī
'kamāl' maiñ ne to dar se diye uThā.e nahīñ
uThā.ī us ne hī dīvār bad-gumānī kī
ana rahi na meri mutlaq-ul-inani ki
mere wajud pe ek dil ne hukmarani ki
karam kiya ki bikharne diya na us ne mujhe
mere junun ki hifazat ki mehrbani ki
pahaD kaTna ek mashghala tha bachpan se
kaDe dinon mein bhi teshe si naujawani ki
badan ki uDne ko par taulta parinda sa
kisi kaman si chaDhti nadi jawani ki
'kamal' main ne to dar se diye uThae nahin
uThai us ne hi diwar bad-gumani ki
- Book : Aiwan (Pg. 78)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.