ana se dekho kitna bhar gae hain
anā se dekho kitnā bhar ga.e haiñ
to kyā ham zindagī se Dar ga.e haiñ
mire andar liyā karte haiñ sāñseñ
vo saare log jo ab mar ga.e haiñ
ham ab jaa.eñ yahāñ se bhī to kaise
abhī aate haiñ vo kah kar ga.e haiñ
abhī mumkin nahīñ milnā ḳhudā se
abhī to shaiḳh sāhab ghar ga.e haiñ
tumheñ parhez hai to mat karo ishq
jinheñ karnā thā vo to kar ga.e haiñ
ana se dekho kitna bhar gae hain
to kya hum zindagi se Dar gae hain
mere andar liya karte hain sansen
wo sare log jo ab mar gae hain
hum ab jaen yahan se bhi to kaise
abhi aate hain wo kah kar gae hain
abhi mumkin nahin milna KHuda se
abhi to shaiKH sahab ghar gae hain
tumhein parhez hai to mat karo ishq
jinhen karna tha wo to kar gae hain
- Book : Lafz ke Fasale Par Zindagi (Pg. 40)
- Author : Rajneesh Sachan
- Publication : Hind Yugm, New Delhi-16 (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.