Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ananiyat ko kabhi ham-zaban kiya hi nahin

Shamshad shaad

ananiyat ko kabhi ham-zaban kiya hi nahin

Shamshad shaad

MORE BYShamshad shaad

    anāniyat ko kabhī ham-zabāñ kiyā nahīñ

    ḳhudī pe dosto ham ne gumāñ kiyā nahīñ

    safar hayāt ham ne girāñ kiyā nahīñ

    farebiyoñ ko kabhī ham-ināñ kiyā nahīñ

    kisī pe kaise ayaañ hotī dil kaifiyyat

    ki rāz-e-dil to kisī se bayāñ kiyā nahīñ

    añdheroñ meñ rahe par māñge ke ujāloñ se

    ghar apnā ham ne kabhī zau-fishāñ kiyā nahīñ

    idhar baat udhar aur udhar baat idhar

    ye mashġhala kabhī ham ne miyāñ kiyā nahīñ

    mileñgī ashk sauġhāt is liye ham ne

    ai 'shād' ishq meñ ziyāñ kiyā nahīñ

    ananiyat ko kabhi ham-zaban kiya hi nahin

    KHudi pe dosto hum ne guman kiya hi nahin

    safar hayat ka hum ne giran kiya hi nahin

    farebiyon ko kabhi ham-inan kiya hi nahin

    kisi pe kaise ayan hoti dil ki kaifiyyat

    ki raaz-e-dil to kisi se bayan kiya hi nahin

    andheron mein rahe par mange ke ujalon se

    ghar apna hum ne kabhi zau-fishan kiya hi nahin

    idhar ki baat udhar aur udhar ki baat idhar

    ye mashghala kabhi hum ne miyan kiya hi nahin

    milengi ashk ki saughat is liye hum ne

    ai 'shad' ishq mein ji ka ziyan kiya hi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now