ananiyat ko kabhi ham-zaban kiya hi nahin
anāniyat ko kabhī ham-zabāñ kiyā hī nahīñ
ḳhudī pe dosto ham ne gumāñ kiyā hī nahīñ
safar hayāt kā ham ne girāñ kiyā hī nahīñ
farebiyoñ ko kabhī ham-ināñ kiyā hī nahīñ
kisī pe kaise ayaañ hotī dil kī kaifiyyat
ki rāz-e-dil to kisī se bayāñ kiyā hī nahīñ
añdheroñ meñ rahe par māñge ke ujāloñ se
ghar apnā ham ne kabhī zau-fishāñ kiyā hī nahīñ
idhar kī baat udhar aur udhar kī baat idhar
ye mashġhala kabhī ham ne miyāñ kiyā hī nahīñ
darūn-e-zāt meñ jaane ye pal ga.iiñ kaise
in ārzūoñ ko ham ne javāñ kiyā hī nahīñ
mileñgī ashk kī sauġhāt is liye ham ne
ai 'shād' ishq meñ jī kā ziyāñ kiyā hī nahīñ
ananiyat ko kabhi ham-zaban kiya hi nahin
KHudi pe dosto hum ne guman kiya hi nahin
safar hayat ka hum ne giran kiya hi nahin
farebiyon ko kabhi ham-inan kiya hi nahin
kisi pe kaise ayan hoti dil ki kaifiyyat
ki raaz-e-dil to kisi se bayan kiya hi nahin
andheron mein rahe par mange ke ujalon se
ghar apna hum ne kabhi zau-fishan kiya hi nahin
idhar ki baat udhar aur udhar ki baat idhar
ye mashghala kabhi hum ne miyan kiya hi nahin
darun-e-zat mein jaane ye pal gain kaise
in aarzuon ko hum ne jawan kiya hi nahin
milengi ashk ki saughat is liye hum ne
ai 'shad' ishq mein ji ka ziyan kiya hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.