ananiyat ne kiya etiraf mere sath
anāniyat ne kiyā e'tirāf mere saath
ḳhudī kā yā'nī rahā iḳhtilāf mere saath
ye jism farz nibhātā rahā bahar-sūrat
so dil bhī karne lagā inhirāf mere saath
ye dil thā yā ki sanam-ḳhāna-e-majāz-e-jahāñ
kiyā ye kis ne haram kā tavāf mere saath
vo shaḳhs jis kī himāyat pe ham rahe nāzāñ
vo ibtidā se thā mere ḳhilāf mere saath
ye hast buud meñ badle to ġham se jaañ chhūTe
yahī ajal ne kiyā inkishāf mere saath
kabhī bhī zāhir-o-bātin meñ koī farq na ho
mire ḳhudā na ho koī ġhilāf mere saath
ye kyā ki aap tazabzub meñ Duube rahte haiñ
kalām kyoñ nahīñ karte haiñ saaf mere saath
tumhārī charb-zabānī se kuchh nahīñ hāsil
'zahīr' aao karo ai'takāf mere saath
ananiyat ne kiya e'tiraf mere sath
KHudi ka ya'ni raha iKHtilaf mere sath
ye jism farz nibhata raha bahar-surat
so dil bhi karne laga inhiraf mere sath
ye dil tha ya ki sanam-KHana-e-majaz-e-jahan
kiya ye kis ne haram ka tawaf mere sath
wo shaKHs jis ki himayat pe hum rahe nazan
wo ibtida se tha mere KHilaf mere sath
ye hast bud mein badle to gham se jaan chhuTe
yahi ajal ne kiya inkishaf mere sath
kabhi bhi zahir-o-baatin mein koi farq na ho
mere KHuda na ho koi ghilaf mere sath
ye kya ki aap tazabzub mein Dube rahte hain
kalam kyon nahin karte hain saf mere sath
tumhaari charb-zabani se kuchh nahin hasil
'zahir' aao karo ai'takaf mere sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.