andaz badalne mein abhi waqt lagega
andāz badalne meñ abhī vaqt lagegā
patthar ko pighalne meñ abhī vaqt lagegā
be-vaqt bhalā raat kahāñ jā.egī āḳhir
sūraj ko nikalne meñ abhī vaqt lagegā
hai shauq Tahalne kā to ḳhvāboñ meñ hī Tahlo
bāġhoñ meñ Tahalne meñ abhī vaqt lagegā
jaate ho nikal kar mire kūche se to jaao
is dil se nikalne meñ abhī vaqt lagegā
filhāl ye kaafī hai ki tum ḳhud ko badal lo
duniyā ko badalne meñ abhī vaqt lagegā
haule se tire dil meñ jo ye aag lagī hai
sho.aloñ ko machalne meñ abhī vaqt lagegā
andaz badalne mein abhi waqt lagega
patthar ko pighalne mein abhi waqt lagega
be-waqt bhala raat kahan jaegi aaKHir
suraj ko nikalne mein abhi waqt lagega
hai shauq Tahalne ka to KHwabon mein hi Tahlo
baghon mein Tahalne mein abhi waqt lagega
jate ho nikal kar mere kuche se to jao
is dil se nikalne mein abhi waqt lagega
filhaal ye kafi hai ki tum KHud ko badal lo
duniya ko badalne mein abhi waqt lagega
haule se tere dil mein jo ye aag lagi hai
shoalon ko machalne mein abhi waqt lagega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.