Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

andaz-e-fikr ahl-e-jahan ka juda raha

Ghani Ejaz

andaz-e-fikr ahl-e-jahan ka juda raha

Ghani Ejaz

MORE BYGhani Ejaz

    andāz-e-fikr ahl-e-jahāñ judā rahā

    vo mujh se ḳhush rahe to zamāna ḳhafā rahā

    aalam hayāt na kabhī ek rahā

    duniyā meñ zindagī tamāshā banā rahā

    thā har qadam pe apne azā.em imtihāñ

    har gaam hādsāt mahshar bapā rahā

    phūloñ ahd gul meñ tijārat to ḳhuub

    pūchhe koī ki dāman-e-gulchīñ meñ kyā rahā

    bār-e-garāñ thā mere liye arsa-e-hayāt

    jiine tere ġham se bahut hausla rahā

    har fikr har amal hai niyyat pe inhisār

    shaiḳh-e-haram bhī banda-e-hirs-o-havā rahā

    duniyā amal raah meñ aage nikal ga.ī

    zāhid to ḳhānqāh meñ mahv-e-duā rahā

    ham laakh muskurā.e tabassum oT se

    soz-e-ġham-e-hayāt magar jhāñktā rahā

    'ejāz' ahl-e-jaur se nafrat rahī unheñ

    har zulm un bazm meñ lekin ravā rahā

    andaz-e-fikr ahl-e-jahan ka juda raha

    wo mujh se KHush rahe to zamana KHafa raha

    aalam hayat ka na kabhi ek sa raha

    duniya mein zindagi ka tamasha bana raha

    tha har qadam pe apne azaem ka imtihan

    har gam hadsat ka mahshar bapa raha

    phulon ki ahd gul mein tijarat to KHub ki

    puchhe koi ki daman-e-gulchin mein kya raha

    bar-e-garan tha mere liye arsa-e-hayat

    jine ka tere gham se bahut hausla raha

    har fikr har amal ka hai niyyat pe inhisar

    shaiKH-e-haram bhi banda-e-hirs-o-hawa raha

    duniya amal ki rah mein aage nikal gai

    zahid to KHanqah mein mahw-e-dua raha

    hum lakh muskurae tabassum ki oT se

    soz-e-gham-e-hayat magar jhankta raha

    'ejaz' ahl-e-jaur se nafrat rahi unhen

    har zulm un ki bazm mein lekin rawa raha

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now