andaz kahin dekha hai mastana kisi ka
andaz kahin dekha hai mastana kisi ka
Nawab Umrao Bahadur Diler
MORE BYNawab Umrao Bahadur Diler
andāz kahīñ dekhā hai mastāna kisī kā
shaidā hī huā phir dil-e-dīvāna kisī kā
saaqī nigah-e-mast se terī jo laḌe aañkh
sarshār na kyoñ kar rahe paimāna kisī kā
maskan hai ḳharābī kā tabāhī kā Thikāna
dil se mire baḌh kar nahīñ vīrāna kisī kā
hūroñ meñ na ye naaz na pariyoñ meñ ye andāz
paate haiñ chalan sab se judāgāna kisī kā
kahte haiñ raqīboñ se vo sun kar mire ash.ār
mazmūñ hameñ ḳhush aatā hai rindāna kisī kā
kuchh bint-e-inab par tirā qabza nahīñ vaa.iz
Theke meñ nahīñ hai tire mai-ḳhāna kisī kā
bhejā hai sū-e-mai-kada jo abr ḳhudā ne
maqbūl huā na.ara-e-mastāna kisī kā
yaad aatā hai kyā kyā talab-e-bosa-e-lab par
muñh pher ke ghuñghaT meñ vo sharmānā kisī kā
zikr-e-shab-e-ġham sun ke 'diler' un kā bhī kahnā
ham niiñd meñ sunte nahīñ afsāna kisī kā
andaz kahin dekha hai mastana kisi ka
shaida hi hua phir dil-e-diwana kisi ka
saqi nigah-e-mast se teri jo laDe aankh
sarshaar na kyon kar rahe paimana kisi ka
maskan hai KHarabi ka tabahi ka Thikana
dil se mere baDh kar nahin virana kisi ka
huron mein na ye naz na pariyon mein ye andaz
pate hain chalan sab se judagana kisi ka
kahte hain raqibon se wo sun kar mere ashaar
mazmun hamein KHush aata hai rindana kisi ka
kuchh bint-e-inab par tera qabza nahin waiz
Theke mein nahin hai tere mai-KHana kisi ka
bheja hai su-e-mai-kada jo abr KHuda ne
maqbul hua nara-e-mastana kisi ka
yaad aata hai kya kya talab-e-bosa-e-lab par
munh pher ke ghunghaT mein wo sharmana kisi ka
zikr-e-shab-e-gham sun ke 'diler' un ka bhi kahna
hum nind mein sunte nahin afsana kisi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.