andaz kisi ka hai sada aur kisi ki
Interesting Fact
Kitab-Numa (June, 2009)
andāz kisī kā hai sadā aur kisī kī
hai choT koī aur davā aur kisī kī
tabdīl-shuda shaḳhs nazar aane lagā vo
tevar meñ sajā kar ke adā aur kisī kī
ik shoḳh se sairāb nazar hone lagī hai
qābiz hai magar dil pe hayā aur kisī kī
rahtā thā gurezāñ jo sadā merī vafā se
DhūñDe hai vahī aaj vafā aur kisī kī
ḳhāmosh fazā thāme rahā vo mire haq meñ
maiñ le ke chalā aayā duā aur kisī kī
tūfāñ meñ chaman apne pareshāñ to bahut thā
āsūda nahīñ pā ke sabā aur kisī kī
likkhā hī nahīñ jurm mire naam ke aage
huuñ pā ke bahut ḳhush maiñ sazā aur kisī kī
hai ḳhuub daraḳhshāñ sā na.e shahr meñ aa kar
chipkā ke badan par vo ziyā aur kisī kī
ai 'sāhnī' kyuuñ aisā huā mujh ko batānā
raushan hai tire ghar meñ fazā aur kisī kī
andaz kisi ka hai sada aur kisi ki
hai choT koi aur dawa aur kisi ki
tabdil-shuda shaKHs nazar aane laga wo
tewar mein saja kar ke ada aur kisi ki
ek shoKH se sairab nazar hone lagi hai
qabiz hai magar dil pe haya aur kisi ki
rahta tha gurezan jo sada meri wafa se
DhunDe hai wahi aaj wafa aur kisi ki
KHamosh faza thame raha wo mere haq mein
main le ke chala aaya dua aur kisi ki
tufan mein chaman apne pareshan to bahut tha
aasuda nahin pa ke saba aur kisi ki
likkha hi nahin jurm mere nam ke aage
hun pa ke bahut KHush main saza aur kisi ki
hai KHub daraKHshan sa nae shahr mein aa kar
chipka ke badan par wo ziya aur kisi ki
ai 'sahni' kyun aisa hua mujh ko batana
raushan hai tere ghar mein faza aur kisi ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.