andar andar kanp raha hai sannaTa
andar andar kaañp rahā hai sannāTā
ḳhud se kitnā ḳhauf-zada hai sannāTā
mandir masjid girjā kī āvāzoñ se
dhīre dhīre TuuT rahā hai sannāTā
dīvāroñ pe raqs kare hai tanhā.ī
āñgan āñgan jaag rahā hai sannāTā
shab kī tanhā.ī ke ik ik manzar ne
tanhā.ī ke naam kiyā hai sannāTā
mulk-e-shab kī shahzādī hai tanhā.ī
mulk-e-shab kā shahzāda hai sannāTā
merā sāthī merā hamdam ban ke 'nizām'
manzil manzil saath chalā hai sannāTā
andar andar kanp raha hai sannaTa
KHud se kitna KHauf-zada hai sannaTa
mandir masjid girja ki aawazon se
dhire dhire TuT raha hai sannaTa
diwaron pe raqs kare hai tanhai
aangan aangan jag raha hai sannaTa
shab ki tanhai ke ek ek manzar ne
tanhai ke nam kiya hai sannaTa
mulk-e-shab ki shahzadi hai tanhai
mulk-e-shab ka shahzada hai sannaTa
mera sathi mera hamdam ban ke 'nizam'
manzil manzil sath chala hai sannaTa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.