andar bahar upar niche KHwab hi KHwab
andar bāhar uupar nīche ḳhvāb hī ḳhvāb
daa.eñ baa.eñ aage pīchhe ḳhvāb hī ḳhvāb
ḳhushbū shabnam rañg kī duniyā ek fareb
ġhunche gul buuTe bāġhīche ḳhvāb hī ḳhvāb
āñkheñ chehre chāñd sitāre raat hī raat
darvāze dīvār darīche ḳhvāb hī ḳhvāb
hasrat Tahnī Tahnī niiñd meñ Duubī thī
bikhre the peḌoñ ke pīchhe ḳhvāb hī ḳhvāb
kaash ki zinda hote ehsāsāt sabhī
dekhā karte āñkheñ mīche ḳhvāb hī ḳhvāb
ummīdeñ mehdī ke talve chaaT ga.iiñ
dikhlāte kab tak ġhālīche ḳhvāb hī ḳhvāb
ḳhvāhish ḳhvāhish jo chāho chun lo 'parvez'
chhoḌ chale ham apne pīchhe ḳhvāb hī ḳhvāb
andar bahar upar niche KHwab hi KHwab
daen baen aage pichhe KHwab hi KHwab
KHushbu shabnam rang ki duniya ek fareb
ghunche gul buTe baghiche KHwab hi KHwab
aankhen chehre chand sitare raat hi raat
darwaze diwar dariche KHwab hi KHwab
hasrat Tahni Tahni nind mein Dubi thi
bikhre the peDon ke pichhe KHwab hi KHwab
kash ki zinda hote ehsasat sabhi
dekha karte aankhen miche KHwab hi KHwab
ummiden mehdi ke talwe chaT gain
dikhlate kab tak ghaaliche KHwab hi KHwab
KHwahish KHwahish jo chaho chun lo 'parwez'
chhoD chale hum apne pichhe KHwab hi KHwab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.